Ghalib’s dejection

Koi ummed bar nhin aati
Koi soorat nazar nhin aati

Maut ka ek din muaiyyan hai
Neend kyun raat bhar nhin aati

Aage aati thi haal-e-dil pe hasi
Ab kisi baat par nhin aati

Jaanta hoon sawaab-e-taa’at-o-zahad
Par tabiyat idhar nhin aati

Hai kuch aisi hi baat jo chup hoon
Warna kya baat kar nhin aati

Kyu na cheekhun ki yaad karte hain
Meri aawaaz gar nhin aati

Daagh-e-dilgar nazar nhin aata
Bu bhi ai chaargaar nhin aati

Hum wahan hain jahan se humko bhi
Kuch hamari khabar nhin aati

Marte hain aarzoo mein marne ki
Maut aati hai par nhin aati

Kaaba kis muh se jaoge Ghalib
Sharam tumko magar nhin aati

~Mirza Ghalib

Previous
Previous

Ghalib to God

Next
Next

Got to get up and try!