Iqbal reminiscing the old days

Aata hai yaad mujhko guzra hua zamana
Woh baagh ki baharein vo sabka chehchahana

Aazaadiyaan kahan vo apne ghosle ki
Apni khusi se aana apni khushi se jaana

Lagti hai chot dil pe aate hain yaad jis dam
Shabnam ke aansuon par kaliyon ka muskurana

Vo pyaari pyaari soorat vo kaamni si moorat
Aabaad jiske dumse tha mera aashiyaana

Aati nhin sadaein uski mayray qafas mein
Hoti meri rihayi ai kaash mere bas mein

Kya badnaseeb hoon main ghar ko taras rha hoon
Saathi to hain watan mein main qaid mein parda hoon

Aayi bahaar kaliyaan phoolon kee hans rahi hain
Main is andhere ghar mein qismat ko ro rha hoon

Iss qaid ka ilaahi dukhrda kise sunau
Dar hai yahin qafas mein main gham se mar na jaau

Jabse chaman chhoota hai yeh haal ho gya hai
Dil gham ko kha rha hai, gham dil ko kha rha hai

Gaana ise samajh kar khush ho na sunne waale
Dukhe hue dilon ki paryaad se sada hai

Azaad mujhko karde O qaid karne waale
Main be-zubaan hoon qaidi tu chhor kar dua le

~Allama Iqbal

Previous
Previous

Eraser: A Dynamic Data Race Detector for Multi-Threaded Programs

Next
Next

I don’t need dollar bills to have fun tonight